Aqaaid
Core Beliefs
Ta'areef

Aqaaid: Aadmi jin deeni baaton par dil se yaqeen rakhta hai, un ko "Aqaaid" kehte hain.
Tarjama: Be shak jo log imaan laaye aur unhon ne nek amal kiye, un ke liye ne'maton ke baagaat honge.
Hadees:

Allah ke Rasool (SAW) ne farmaaya: Jo shakhs gawaahi de ke Allah ke alaawa koi ma'bood nahin aur Hazrat Muhammad (SAW) Allah ke Rasool hain, to Allah Ta'ala us par jahannam ki aag ko haraam kar dega.

Aqeeda musalmaan ke liye woh buniyaadi cheez hai jis par poore deen ki imaarat khadi hoti hai. Jis ka aqeeda jitna saheeh aur mazboot hoga, us ka amal bhi utna hi saheeh aur mazboot hoga aur jis ka aqeeda jitna kamzor hoga, us ka amal bhi utna hi kamzoor hoga. Lihaaza aqeede ko saheeh karna aur dil ke yaqeen ko mazboot banaana har musalmaan ke liye zaroori hai.