Dua wa Sunnat
Supplication and Prophetic Traditions
Ta'areef

Dua wa Sunnat: Allah se maangne ko "Dua" aur humaare Nabi (SAW) ke tareeqe ko "Sunnat" kehte hain.

Hadees:

Allah ke Rasool (SAW) ne farmaaya: Allah Ta'ala ke yahaan sab se ziyaada pasandeeda amal dua hai.

Allah ke Rasool (SAW) ne farmaaya: Jis ne meri ummat mein bigaad ke waqt meri sunnat ko mazbooti se pakda, to us ke liye shaheed ka
sawaab hai.

Humaare pyaare Nabi Hazrat Muhammad (SAW) ki zindagi humaare liye kaamil namoona hai, lihaaza Aap (SAW) ki zindagi ko jaanna zaroori hai; kis mauqe par Aap (SAW) ne kya amal kiya? Aap (SAW) ki kya sunnat hai? Aur kin kin mawaaqe par Aap (SAW) ne kaun kaun si duaayein padhein? In tamaam ko seekhna aur un par amal karna bahot zaroori hai, isi par aakhirat mein kamiyaabi aur duniya mein chain wa sukoon aur izzat ke waade hain aur yahi zindagi Allah ko pyaari hai.