Ta'areef
Hifze Hadees: Huzoor (SAW) ki bataai huwi baaton aur Aap (SAW) ke kiye huwe kaamon ko "Hadees" kehte hain aur Hadees ke yaad karne ko "Hifze Hadees" kehte hain.
Hadees:
Allah ke Rasool (SAW) ne farmaaya: Jo shakhs meri ummat ke nafe ke liye 40 Hadeesein yaad karega to us se [Qiyaamat ke din] kaha jaayega, jannat ke jis darwaaze se chaaho daakhil ho jaao.
Humaare pyaare Aaqa Hazrat Muhammad (SAW) ki baaton ko padhna, yaad karna aur un ko apni zindagi mein apnaana bahot sawaab ka kaam hai. Allah Ta'ala is se khush hote hain, is se zindagi mein noor paida hota hai aur deen par chalne ki taufeeq haasil hoti hai, lihaaza Hadees ko zabaani yaad karna chaahiye.